Facebook
Twitter
Problem melden

Chand Sitare Songtext

Chaand sitaare phuul aur khushbuu...
Ye to saare puraane hain
Taazaa taazaa kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Are kaalii ghaTaa'en barkha saavan...
Ye to sab afsaane hain
Taazaa taazaa kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Andaaz hain uske naye naye hai naya naya diiwaanaapan...
Pahanake taaj jawaanii ka hanske lauT gaya bachpan
Giit gazal sab kal kii baaten...
Uske naye taraane hain
Taaza taaza kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Hai ruup men itna saadapan to kitna sundar hoga man...
Bin gahane aur singaar bina voh to lagtii hai dulhan
Kaajal bindiya kangan jhumke...
Ye to guzare zamaane hain
Taaza taaza kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Chaand sitaare phuul aur khushbuu,
Ye to saare puraane hain
Taaza taaza kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Kaalii ghaTaa'en barkha saavan
Yeh to sab afsaane hain
Taaza taaza kalii khilii hai ham uske diiwaane hain
Kaho Naa... Pyaar Hai - Chand Sitare
Quelle: Youtube
0:00
0:00
Made with in Berlin
© 2000-2024 MusikGuru